AD

ADS

Carding kya hai ? Carding kaise kiya jata hai , Online & Credit Card Fraud

Carding kya hai ? Carding kaise kiya jata hai , Online & Credit Card Fraud


hello friend! apne bahut bar  carding ke bare me suna hi hoga, ki apko apple ka phone 80'000 ki jagha  10,000 me mil raha hai,.to hackers esha kese karte he aur kya ye  sach  me hota hai ya nahi aj main apko iske bare me bataunga and carding kya hai? aur carding kon karte hai aur ya legal hai ya illegal. aur kya apko carding karna ya carding ko support karna chahiye ya nahi. to ap ye post age padte rahiye, main apko yah bhi bataunga ki hacker carding kaise karte hai.


CARDING KYA HAI?

dosto carding ko ham simple language me  online fraud, scam, ya online paiso ki chori bol sakte hai. dosto carding me kisi bhi victim ka  credit card (cc) ka use kiya jata hai. apne aksar suna hoga ki kisi ke credit card se paise chori ho gaye. ye sab carding me ata hai. jab hacker kisi ka credit card ki sari information chori kar leta hai. aur usko ek carder ke black market me bech dete hai. aur carder iska use karke online E-commers website se koi saman buy kar leta hai ya usi credit card se  bitcoin kharid leta hai. kyoki bitcoin ek tarah ka decentralized crypto currency hai to koi bhi  state ki goverment ka is par rok tok nahi hai. aur ise track nahi kiya ja sakta hai. is liye har illegal kam me bitcoin ka use kiya jata hai.

CREDIT CARD INFOMATION CHORI:-

dosto ab ham discuss karege ki hacker akhir credit card ki detail kese churata he aur kese kisi ke bhi credit kar ki sari detail kese nikalta he so guys let's discuss.
social engineering techniq:- hack kiye jata he to isi techniq ka use karke hackers credit card ki detail bhi nikal lete he isme kisi bhi person ko kisi bhi tarha he uski detail puchi jati he like apko call aata he sir apne credit ki detail do kyoki apka card band ho rha he  


Online Shopping Website:- dosto kai aise shopping site hote hai, jo trusted nahi hote hai. jisme koi saman kharidne ke liye credit card ka use kiya jata hai to ye credit card ki information hacker tak chali jati he jo baad me black martet ya dark web me sell kar di jati he  .Aur is information ko koi carder kharid kar use karta hai.
iske alawa aur bhi tarike hai jiska use karke hacker carding ko anjaam deta hai. jaise:-
  • Internet Photo, Gmail, Google Plus, Video
  • WhatsApp , Facebook, Twitter,Ect
  • ATM Scanning
  • Memorization
  • Camera
  • Banks
 carding kaise karte hai?
dosto iske liye hacker kuch techniq ka use karte hai, jisse wo carding ke kam ko anjam de pate hai. sabse pahle hacker credit card ki information chori karte hai. fir us card ka use karke online shopping site se koi saman order kar dete ehai, aur saman ko kisi ke pass kam paiso me sell kar  dete hai. ya us credit card ke paise ko bitcoin me convert ka lete hai.  ya dosto agar hacker us credit card ka khud carding me use nahi kar pate hai to kisi carder ke pass bech dete hai.
 carder kon hai?
jo carding ke kam karte hai, unhe carder kahte hai. carder credit card ki detail ko black market me shell bhi karte hai.
carding is illegal ya legal


carding se kaise bache
dosto waise har koi carding ka sikhar nahi hota, kyoki carding koin chhoti bat nahi jise asani se kiya jata hai. lekin kuch aise bhi black hat hacker  hote hai jo is kam me bahut mahir hote hai. o ye kam ko anjam de dete hai. to main apko batata hu ki ap isse kaise bach sakte hai.
#1. kabhi bhi kisi untrusted website se shoping na kare. 
#2.website me shopping karte bhi hai to ye cheq kare ki website secure hai ya nahi. matlab usme https laga hai ya http. ye dono cheq kar le. agar website me http laga hai to apke upar MITM man in the middle) attack kiya ja sakta hai. aur apki detail ko capture kiya ja sakta hai.
#3.koi bhi public wifi ka use na kare. waha bhi apke upar man in the middle attack se infomation ko chori kiya ja sakta ha.
#4.apna credit card ki infomation kisi ke sath na share kare.
#5.credt card ki photo kabhi na le. aur iski photo kisi ke pass na send kare.
#6.ATM ka use karte time ye cheq kare ki apke as pass koi to nahi hai jo ki apke credit card ko dekh raha hai.
#7.apne bank ki otp kisi ko na bataye.
#8. time time par apne credit card ka passwpord chang karte rahe.
#9. apna mobile kisi ko na de. 
so friend apko pata chal gay hoga ki carding kya hai aur carding kaise kiya jata hai. agar apka is post se related koi sawal ya sujhav ho to hame jarur comment kare. aur is post ko apne dosto ke sath social media me jarur share kare taki sab ko carding kya hai, aur carding se kaise bache yah jankari mil sake.
Carding kya hai ? Carding kaise kiya jata hai , Online & Credit Card Fraud Carding kya hai ? Carding kaise kiya jata hai , Online & Credit Card Fraud Reviewed by Mr X on May 14, 2018 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.